Tuesday, November 27, 2012

"Maza Aya"

Dard ka khwahishmand tha main...
Jo nastar ko chubhone me maza aya...
Ye aansu tere diye nayaab tohfe hai..
Samjha aankho ne to rone me maza aya..!
Yun to bik gayi bemol meri saari duniya..
...
Ek tu rha baaki, Aaj jise khone me maza aya..
Tanhaiyaan mujhe bhi bulaati rahi magar..
Muddato baad uska hone me maza aya..!
Armaan jo bikhre the motiyon ki tarah.
Ek-ek kar inko pirone me maza aya..
Neend se ranzish thi meri par..
Aaz veeraniyon me sone me maza aya..!
Sooni thi ye meri palke kab se..
Ulfat k paani se bhigone me maza aya..
Tere diye har dard ko mere humdum..
Iss dil me sanjone me maza aya..!!

No comments:

Post a Comment